Shayiri
~~YAAD~~
Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin,
meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin,
ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
maine abhi aapka gam dil se utaara nahin,
tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin,
kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin,
kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin,
mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin,
wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin,
itna hai bad-naseeb Mera ye jahan
loota hai zindagi ne jise maut ne maara nahin.
2 Comments:
Interesting site. Useful information. Bookmarked.
»
Hi! Just want to say what a nice site. Bye, see you soon.
»
Post a Comment
<< Home